S t o r y B y : - A J i t S a h o o
5
2 years Later :-
10 th March 2017:-
‘Bhulana sako ge mujhe bhool kar tum. mein aksar
tumhein yaad aati rahoongi, kabhi khuwab ban kar kabhi
yaad ban kar..’, sona ki kahi hui ye baat aaj bhi mere kano me
gunj ti rehti hain.
Aaj main usi park pe usi jagah par baitha tha, jahan se aaj
se thik 2 saal pehle meri sona mujhse door chali gayi thi.
Uski baatein aaj bhi mujhe tadpati hai, tarsati hain. Uski
yaadein aaj bhi mujhe rulati hai. Ab kisse kahun ye sab, bas
baithe baithe un yaadon ko mann hi mann dohrata rehta hun.
Laakhon lamhein kaat ta hoon phir bhi katte nahin hai, uski
yaadein hein ki bas hatte nahi hai.
Woh to chali gayi, par uski kuch chizein mujh mein
humesha ke liye chor gayi. Aaj bhi agar raaste par kahin
violet colour ki scooty dekhta hun, to dil bas ussi ki yaad
dilate hain. Aaj bhi agar kabhi us raste par jaata hun jahan se
ek rasta uski ghar ke aur jaati hai, to ek najar uski gali pe
jarur padta hai.
“ Y o u & M e ”
88