S t o r y B y : - A J i t S a h o o
wahan pahunchte hi philosopher ban jata he aur Sudeep ke
pass kuch aise anokhe baat zaroor hote hain jo har problem ka
koi na koi solution nikal deti he.
Hum sab ki kahani jaise ek jaisi thi, bhale hi raaste alag
ho, par jaise aakhir mein ek hin manjil pe aa ke rukti thi
humari zindagi ki gaadi. Hum sab apne apne duniya mein kho
gaye the, tabhi sudeep ne apne khayalon ko sabdon ki jubaan
se arz karne laga …
“In khamoshi se kuch pa liya he humne, lehron se kinare
ko dhund liya he humne, wo kehte the ki koi ayega aur
tumhari zindegi badal dega. Par zindegi ko khud me hi dhund
liya hai humne…”Sudeep…
Ye the sudeep ke kuch anokhi baatein. Par actually usse
pehle main unn dono ko yeh bol raha tha ke, ‘woh aaj bhi uss
tarahse mere dilon aur dimag mein rehti he, main chahe kitna
bhi koshish kyun na karlun, par usse bhula nahi pa raha hun.’
Main phir uski khayalon mein kho kar bola, ‘main usse
kabhi khona nahi chahta tha,par ab koi aur rashta bhi nahi he,
mujhe apne dil par pathar rakh ke usse bhulana hi hoga.’
Par sach me ye sab itna ashaan nahi hota hai, pehli baar
kisi ko itne dil se chahne ke baad usse bhul pana jaise
namumkin sa lagta hai. Mera dil to yehi dua kar raha tha ki
bas usi ke liye jeeyun aur usi ke liye marun.
“ Y o u & M e ”
4