You & Me A story By:- AJit | Page 4

S t o r y B y : - A J i t S a h o o 1 May 2015:- “Woh rehe na rehe, main rahunga yahin pe humesha ke liye, woh aaye na aaye main rukunga yahin pe, bas yahin pe…” ‘Yaar tu jab tak yeh sochta rehega ki, tujhe usse bhulna hai, tab tak tu usse bhul nahi payega’. Anurag bola. Us din main bahut dukhi tha, kisi ki yaad jaise mujhe bahut sata rahi thi, bas kisi ka chehra hi nazar aa raha tha. Main aur mere do khas dost ‘Sudeep saha’ and ‘Anurag thakur’ us din humare seher ke paas wale ek Dam gaye hue the. Aksar hum wahan jaate hein, jab bhi humara mood kharap hota he ya phir humein chill karna hota he. Jitna khubsoorat jagah he utna hi shaanti wahan ki hawaon mein hai. Wahan se laut te hi jaise mann pura halka ho jata he. Wahan pahunchte hi aisa lagta he jaise kisi alag duniya me aa gayein ho, mano duniya se door, Zindagi ki sari takleefon se door. Niche ja kar hum patthar ke upar baith jaate hein aur jaise kisi ek gehri soch mein kho jaate hein. Anurag to aksar “ Y o u & M e ” 3