S t o r y B y : - A J i t S a h o o
wala tha. Waise naukri sab ke pass thi par aage badhne ke
liye sabhi exams de rehe the. Waise Anurag ek bahut acha
artist bhi hai.
‘Chal tujhe sirf itna bolne aaya tha ki Kolkata se lautne ke
baad agle Sunday ko main party de raha hun, aana’, anurag
bola.
‘oh birthday party ?’
‘Han… Chal hum chalte hein, saha babu to kal chale
jayenge, isiliye hum yahan tujhse milne chale aaye’, anurag
bola.
Waise sudeep ko hum dono aksar ‘saha babu’ bulate hein.
Uska posting humare town se bahar hua hai, aur woh
weekends pe hi aata hai. Anurag ko bhi main aksar ‘anu’
bulata hun, uske piche ek raaz hai, lekin woh baad main pata
chalega.
Mujhe kaahaniya padhna bahut pasand hai, actually pehle
mujhe itni pasand nahi thi, par jabse khud ko akela paya hun
tabse in kitabon ka sath hi meri duiya ban gayi, kitaabein
humesha humara sath deti hain, na hi yeh humse kuch sikayat
karte hain na hi koi maang. Uske alawa mujhe Sangeet ka bhi
bahut shauk hai. Humesha se ek musician banne ka sapna tha
mera.
“ Y o u & M e ”
8