Love is a waste of Time (hindi)- Story by- AJIT SAHOO 18 April 2015 | Page 47

muh khol ke bata deti ki tum kya chahti ho. Aakhri waqt tak itna ghatiya bartaab kiye, jhut bole, hurt kiya, kya mila tumhe ye sab karke… Ok chodo, bhagbaan tumhe humesha khus rakhein.” Wo mujhe ek baar boli thi, “agar tum mujhe sach main pyar karte ho to mujhe kabhi galat mat samajhna aur mere jazbaton ko samajhna.” Mujhe pata hai, mera pyar saccha tha aur rahega, mujhse koi bhul hua ho to mujhe maaf kar dena Moon. Uske baad main humesha ke liye uski zindagi se chala gaya, bahut door chala gaya, janha wo kabhi mujhe dhoond na paye. Tab mujhe mehsoos hua maine apni zindagi ki wo sare waqt jo ek sache mohabbat ke liye de diya wo sare waqt ab mujhse hi muh mod liye hain. Kyun hota hai aisa? Meri kya galti thi? Kya iss duniya mein pyar hota hai? Bas sawal the jo mujhe parishan kar rahe the. Ye meri apni sachi kahani hai, suruwat jitna hi khushnuma tha khatam usse bhi jyada dardbhara tha. Uske baad main jeene ki wajah dhundne laga. Main jaanta tha yeh jo waqt chal raha tha, wo mera nahi tha, isiliye mere sath kuch bhi sahi nahi ho raha tha, main jo bhi chahta tha wo mujhse dur ho jata tha, kismat bhi mere sath nahi tha. Maine apne