Love is a waste of Time (hindi)- Story by- AJIT SAHOO 18 April 2015 | Page 40

dardnak maut mar raha tha main, apni aankhon ke samne usse mujhse door jate hue dekh raha tha main, tadap raha tha par meri wo awaz uss tak nahi phonch rahi thi. Dhire dhire Moon uske ghar walon ke samne aise dikhawa karne lagi jaise main usko parishan kar raha hun, usko tang kar raha hun. So uske ghar wale bhi sabhi mujhe bura samajhne lage, Rishta na rehna alag baat hai lekin jinke sath ek pariwar ki tarah raha unse bebazah bhorosha kho dena mujhe bohot takleef de rahi thi, bura lag raha tha mujhe. Kis tarah wo sare rishton ko todne lagi hai. Mere aankhon ke saamne wo mujhe avoid karne lagi aur kisi aur ke sath ghulne lagi, ye sab na hi main dekh paa raha tha na hi seh paa raha tha. Wo bhi mujhe boli ke, “us ladke ko lekar uske ghar wale bhi bahut khush hain aur usse khona nahi chahte.” Ye sabkuch dekh kar mujhe pura yakeen tha ki moon bhi us ladke ko chahti hai, warna wo mere alaba kisi aur ko soch bhi nahi pati. Duniya se lad jati par aisa kabhi nahi kehti. Maine dekha ki moon uske sath humesha khus reh rehi hai, aur mere sath bas Parishan.