BIKERS CLUB OCTOBER 2019 ISSUE | Page 71

BIKERS CLUB | MAGAZINE Then rukte rukte hue bhi we entered Maharashtra aur phir kya manzil aur Shreemayee zyaada dur nahi thi... bas sirf ab thoda hee distance aur bacha tha ki last mai meri bike ka puncture hua... and once again humaare kaafile ko rukna pada... bike se utra aur stand lagana bhi bhool gaya tha... bike wahi side pe gir gayee.. aur maine meri SHREEMAYEE KO GOAD MAI UTHA LIYA... AUR USKE T-SHIRT PE LIKHA HUA "I LOVE MY DAD" PADHKE MAI APNE AANSUU ROK NAA PAYA... And as we say all roads has a story to tell so this was my story of SPITI-LADAKH 2018 ki story... At Jaam Savli 70 kms before Nagpur at hanumaan mandir hai jahaan pe humare local UNIDOS mile aur phir hum sab saath mai... Nagpur ke liye chal pade.. And around 9:00 pm we reached Nagpur... jahaa pe Memories for Life t ime Hamare decided location pe hum sab ke friends - well-wishers aur families khadi thi hamare swaagat ke liye... Mai ab dard ke baare mai toh bhool hee gaya thaa... Par daya khaa ke mere neck pain ne bhi mera saath diya tha... and made sure ki raaste mai koi major breakdown naa ho meri body ke saath. Par woh kehte hai naa "HIMMATE MARDA TOH MADAD-E-KHUDA." "ZINDAGI MAI HAZAAR MUSKEELE AATEE HAI PAR KABHI DAGMAGANA MAT E MERE DOST... Shayad wohi hua mere saath... par woh khushi zyaada nahi tikne wali thi... ab tak jitna maine sahen kiya tha iss ride pe... isse kai guna zyaada main aane wale kuch mahino mai sahen karne wala tha... Par khair this is life and one has to accept it's twists and turns. philal ke liye mai woh sab nahi soch raha thaa... Bas mujhe meri SHREEMAYEE ko milna tha aur ussey goad mai uthana tha... Woh chand kilometers bhi mujhe kaiee kilometers jaise lag rahe they... Aur finally hum sab pahuch hee gaye... jab dur se humne humare friends & families ko dekha... tab meri aankhe meri nanhee see pari ko dhoondh rahi thi... Jab maine usse dekha toh mujhe apne aap pe control naa raha... KHWAAHISHEY PAANI KITNI BHI MUSHKEEL KYU NAA LAG RAHI HO... PAR UDNAA CHHODNA MAT E MERE DOST... MANZILE KITNI BHI KATHEEN AUR DUR KYU NAA HO.. PAR CHALNA CHHODNA MAT E MERE DOST... RAASTO PE KITNE BHI KAANTE BEECHE HUE KYU NAA HO... PAR PAR DARR KE RUKNA MAT E MERE DOST... APNE KITNE BHI DUR KYU NAA HO TUJHSE... PAR PYAR KARNA CHHODNA MAT E MERE DOST... DUSHMAN KITNE HAZAAR KYU NAA HO TERE... PAR INSAANIYAT CHHODNA MAT E MERE DOST... TU MANZILO KO PAA BHI LEGA... KHWAAHISHOO KI UDAAN BHAR BHI LEGA AUR KAAMIYAAB HO BHI JAAYEGA MAGAR APNI MITTI SE WAASTA TODNA MAT E MERE DOST... KAAMYAABI EK NASHA HAI... JISE PAANE KE BAAD ACHCHE ACHCHE BHATAK JAATE HAI... PAR TU KABHI TERE APNO KO AUR APNE DOSTO KO JAB TU KUCH BHI NAHI THA AUR TAB WOH TERE SAATH KHADE THEY UNKO KABHI BHULNA MAT E MERE DOST... YEHI ZINDAGI HAI... AAJ MAI HOON.. KAL KOI AUR HOGA... AUR KAARWAAN YUHI CHALTA RAHEGA... PAR UNIDO AUR RIDERS SPIRIT KO KABHI MARNE DENA MAT E MERE DOST.... - BY RAHUL MEHTA WWW.BIKERSCLUB.IN