BIKERS CLUB | MAGAZINE
I kept on riding on decided route without network in my
phone... aur jahaa jahaa pain badh jaata thaa... I used
to stop. Phir thodi der baad chalaanaa shuru kar deta
thaaa... asiaa karte karte KOKSAR pahuch gaya aur
waha police ne rok diyaa... because waha aage ek
naala thaa jiska paani over flow ho raha thaa... aur
phir baarish bhi shuru ho gayi thi... I saw many bikers
held up over there... It was about 7:30 pm.
Police said tonight you can't go further, as and when
roads will get clear you can go ahead. I tried to search
hotels in Koksar but could not find any because of many
bikers who were stuck there, all the hotels got full.
Baarish tez ho rahi thi aur mai bheegte jaa raha thaa..
with lot of pain... I did not have any option. bike ko
side stand par lagaya aur neeche baith gaya...
bheegte rahaa... dhire dhire saare bikers ek ek karke
hotels chale gaye...
Sirf mai, mera neck pain and mere peeche ek choti
see police chowki... baitha rahaa... beegtaa rahaa...
Baarish ki har boond ke saath mera mann baitha jaa
raha thaa... pain unbearable thaa... Baar Baar
Shreemayee ka chehraa mere saamne aa rahaa
thaa... Jaise ki woh mujhe apne paas bulaa rahi ho...
Usse yaad karte karte meri aankho se aansu nikal
rahe the... joh paani ki boondo ke saath milke bahey
jaa rahe they... Ek moment pe aisaa lagaa ki sabkuch
mujh se cheenaa jaa rahaa thaa... Meri family jiske
paas mai jaanaa chaah rahaa thaa aur mere UNIDOS
joh mere paas nahi they.. ek aisee kashmakash aur
bachainee see mehsoos ho rahi thi... jaise ki bas yeh
raasta khul jaaye aur kab mai yahaan se niklu aur
meri Shreemayee ko gale lagaa lu. I never felt this
dejected in my entire life till now... Woh baarish mai
kabhi nahi bhul saktaa thaa...
Mai ek aise mod pe baithaa thaa... jahaan ek taraf meri
Sreemayee thee aur dusre taraf mere UNIDOS they...
Aur kab kaise 3 ghante beet gaye pataa hee nahi chalaa...
meri body ke senses ne kaam karna bandh kar diyaa
thaa... aisaa lag rahaa thaa ki... mai yahaan se kabhi nahi
nikal paungaa... And I started praying...
aur phir pata nahi ek police waale ko kya hua, aur mere
paas aaya... He said... bhaai aaj raat aage nahi jaa paoge...
and I said pata hai mujhe par hotels mil nahi rahe hai aur
mujhe neck mai bhi kaafi dard hai... pata nahi kyu par
bhala ho uss police wale kaa.. ki usko mujh par daya aayi
aur bola ki aa jaao police chowki mai aur wahi pe aaram
karo.