BIKERS CLUB | MAGAZINE
I slept early because of my pain... I had started giving up
physically... but could not sleep... Soon Praveen came
to me for my rescue... Ab woh bhi toh champion
tha... itne saalo kaa Gym kaa experience joh thaa...
Aake puchtaa hai... Dada kya bahot dard ho raha
hai... and I was like... nahi Praveen mai kyaa naa
mere NECK PAIN ke saath Cricket khel raha hu...
bahot mazaa aa raha hai... khelega mere saath...
Praveen bola... kya dada kya mazaak kar rahe ho...
Let me check your neck... Aur phir woh apni skills
ka pradarshan karne lag gaya... Jissse mujhe bilkul
bhi raahat nahi mili... isme Praveen kaa dosh nahi
thaa... Mera pain bhi toh Virat Kohli thaa naa...
Praveen ki har googly pe chhkka maar raha thaa...
and finally Praveen haar gaya... par mai dataa
rahaa... Naahi mai soyaa aur naahi Praveen ko sone
diya...
Ab raat bhi mastiyaa rahi thi... aur mera pain bhi
century karne ke kareeb thaa... aur usme mujhe lag
gayi SUSU... ab kya karta... susu karni bhi zaroori
thi... aur neck ki century ko dekhna bhi zaroori
thaa.. par jaise taise mai utha... aur tent ke baahr
gaya... Ab Praveen bechara kya karta woh toh
pahele se hee haar ke pavilion mai baithaa hua
thaa - phir bhi aaya peeche peeche aur pucha - kya
hua dada... mai bola... kuch nahi beta - woh kyaa
thaa naa - neck ki batting dekhne mein... mai itna
kho gaya thaa ki... pichle bahot ghanto se SUSU
dabaaye baitha thaa... toh maine liya remote and
neck ko bola TIME-PLEASE aur aa gaya SUSU karne.
Ab Virat Kohli ne itna dhoya tha mujhe ki mai
ghabhrayaa gabhrayaa saa ghum raha thaa... Par
phir Praveen ki skills finally kaam aayi... usne mere
pant ki zip ko kiya unzip... aur phir thodi raahat see
mili... iss baar Praveen ki expertise kaam aa gayi... aur
utne mai hee.. dusre tents se awaaz aayi... Dada... Ab
mai kya karta... Virat Kohli dho raha tha yeh bol nahi
sakta thaa... toh maine bolaa ki... chalo ground kaa
nirikshan kar aate hai... mai har tent ke paas gaya aur
baahr se aawaaz lagaayi... sab theek hai naa
bhaailog... kisi ne jawaab nahi diya... sirf Jyoti aur
Shweta ko chhodke.... phir kya... waapas aake match
dekhne baith gaya... aur Praveen helplessly mujhe
dekh raha thaa ki kaise Virat Kohli mujhe dho raha
tha... Kya bhayanak raat thi jisne mujhe pura
Bramhaand dikha diya tha....!!!!
Ab subah hone ko thi aur... dard kam hone kaa naam
hee nahi thaa.. mere haath pair sunn ho rahe the... ab
maine sochaa bhaad mai jaaye ego... aur ego ka kya
hai... ghar ka gaajar hai.. kabhi bhi ugaa lungaa... but
iss time pe Virat Kohli ke saamne surrender karnaa
hee akalmandi hai...
I told Praveen - Neck pain bahot bhayaanak ho gaya
hai... I couldn't even turn my neck an inch. You guys
carry on further, I will stay in Kaza for couple of days and
will catch you up, when I feel better... because ab mujhe
ahesaas ho gaya thaa ki yeh neck pain nass khichne
ki wajah se nahi hai.. this is something else... so I
wanted to visit medical store in Kaza..
Like a virus - Yeh baat sabhi UNIDOS tak phail gayi.
Aur sabse pahele I decided to talk to Naren. So I told
him the same and said I will catch up with you in two
days... Praveen and some UNIDOS expressed a wish to
stay with me but I told them don't worry about me, you
guys carry on and promised them that will catch up with
them in two days in LEH...
But the truth was that I gave up in front of my neck
pain and wanted to return back to Nagpur. Which I
couldn't say in front of all because, I did not want to
break the morale of my UNIDOS. So I lied to them.
Sirf Naren ko maine ishara kiya tha ki shayad yeh
ride mujhe yahi drop karni hogi... but told him not to
tell anyone. As a brother he understood and I told
him that Now as a experience rider you will have to
take care of my UNIDOS and bring them back safe to
me.